-->

Tuesday, June 25, 2019

JINHEN MAIN DHOONDTA..

JINHEN MAIN DHOONDTA..

Related image




Jinhen main dhoondta tha asmanon mein zameenon main,
Woh nikle mere zulmat khana-e-dil ke makeenon main,
Kabhi apna bhi nazaara kiya hai tu ne ae majnoon,
Ke laila ki tarah tu bhi hai mehmil-nasheenon main,
Mahine vasl ke gharriyon ki surat urrte jaate hain,
Magar gharriyan judaayi ki guzarti hain maheenon main,
Mujhe roke ga tu ae na-khuda kya gharaq hone se,
Ke jin ko doobna ho, doob jate hain safeenon main,
Jalaa sakti hai shama-e-kushta ko mauj-e-naffas in ki,
Elahi! Kya chupaa hota hai ehl-e-dil ke seenon main,
Na puch in kharqa poshon ki, iradat ho to dekh in ko,
Yadd-e-baiza liye baithe hain apni aasteenon main,
Kisi aese sharar se phoonk apne kharman-e-dil ko,
Ke khurshid-e-qayamat bhi ho tere khoshaa-cheenon main,
Mohabbat ke liye dil dhoond koi tootne wala,
Ye woh mai hai jise rakhte hain nazuk aabgeenon main,
Saraapa husn ban jata hai jis ke husn ka ashiq,
Bhala ae dil haseen aesa bhi hai koi haseenon main,
Numayan ho ke dikhla de kabhi in ko jamaal apna,
Bohat muddat se charche hain tere baareek beenon main,
Khamosh ae dilBhari mehfil mein chillaana nahin acha,
Adab pehla qareena hai mohabbat ke qareenon main,
Bura samajhun inhe, mujh se to aesa ho nahin sakta,
Ke main khud bhi to hun iqbal apne nukta-cheenon main..
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
 

Delivered by FeedBurner